Thursday, May 6, 2010

BAchpan

Wo mitti ke gharonde apne se lagte the
wo train ke safar sapne se lagte the
Wo nani ki godi us duniya me le jati
Wo kati patang mere khwabo me bhi aati

Wo 17 ka pahada wo congratulation ki spelling,
Wo recess ki ganti wo cycle ki trin trin.
Wo dosto ki baate wo chutti ki planning.
Wo pet ka dard aur mummy ki tension.

Wo uneendi si aankhe
Wo bhari sa basta
Wo maths ka period
Wo ghar ka rasta..


Wo diwali ki gun wo holi ki pichkari
Wo badi si rakhi aur patango se yaari.
Wo winter vacation ke 7 din junnoon ban jaate the..
Wo har mahine calender pe bas chuttiya dekhte jate the..


Wo intzar karna har Friday ki movie ka
Wo sach manana saktiman ki har khubi ka.
Wo dhruv ki nagraj ki parmanu ki comixo ka action.
Wo bankelal chahcha chaudary par gudgudata reaction.

Wo bada hona har dusare din
Fir kahna main to abhi tak chota hu
Wo bhaiya se jhagadna baat baat me
Wo pana har cheez jo h uske hath me.

Wo har din meri pencil kho jati
Wo fir teacher bhi meri mujhe pyar se samjhati.
Wo games period me pedho ki chav me baide rahna
Wo music ki class me piche baith kar sote rahna.


Wo mid term wo final ka darr.
Wo school ki masti aur fir kat'ta ghar
Wo aankho me aansu kyu bhar aaye.
Wo bachpan ke din aaj fir yaad aaye